
Tasneem Abidi
hamen likha bhi agar hashiye men rakha gaya
nazar na aa.e jo us zaviye men rakha gaya
tire nasib men manzil kabhi na aa.egi
safar tamam tarah da.ere men rakha gaya
hava ko ye bhi bataya ki raushni hai kahan
charagh ko bhi tire raste men rakha gaya
ana ke naam pe jab ban gaya sanam-ḳhana
ḳhuda ko la ke vahan but-kade men rakha gaya
hua ye haal ki behal ho ga.e ham to
ba-nam-e-ishq ajab marhale men rakha gaya
ajiib sa.at-e-didar thi nigahon men
saja ke hairaton ko aa.ine men rakha gaya
koi bayan diya na koi safa.i di
hamara naam magar faisle men rakha gaya

Leave a Reply