simaT simaT si ga.i thi zamin kidhar jaata
main us ko bhulta jaata huun varna mar jaata
main apni raakh kuredun to teri yaad aa.e
na aa.i teri sada varna main bikhar jaata
tiri ḳhushi ne mira hausla nahin dekha
are main apni mohabbat se bhi mukar jaata
kal us ke saath hi sab raste ravana hue
main aaj ghar se nikalta to kis ke ghar jaata
main kab se haath men kaasa liye khaḌa huun ‘shaz’
agar ye zaḳhm hi hota to kab ka bhar jaata
Leave a Reply