hijr men gham ki chadhai hai ilahi tauba
kya nasibe ki burai hai ilahi tauba
kitne kanon ke vo kachche hain ki allah ki panah
kya raqibon ki ban aai hai ilahi tauba
naala ho aah ho fariyad ho ya zaari ho
yaar tak sab ki rasai hai ilahi tauba
ho chuka qatl jahan tegh bhi uthne ki nahin
kis qadar narm kalai hai ilahi tauba
shaikh-sahib bhi nahin bach ke yahan se nikle
kis qadar un ko pilai hai ilahi tauba
dil-lagi aap se ki khalq men badnam hue
nek-nami ye kamai hai ilahi tauba
chaah kar tum ko bhala aur ko kyunkar chahun
vaah kya dil men samai hai ilahi tauba
le gae chhin ke dil mail nahin chitvan par
kitni diida men safai hai ilahi tauba
bosa manga to kaha shukr-e-khuda achchha huun
baat kya jald udaai hai ilahi tauba
nahin maalum ki kis shakhs ka munh dekha hai
aaj phir gham ki chadhai hai ilahi tauba
kucha-e-ishq ki sach puchho to ham ne ‘parvin’
kis qadar khaak udaai hai ilahi tauba
Leave a Reply