aa.i baharen mahka gulshan
kaliyan chaTkin murjhaya man
man hi man men yaad ke jhule
ankhon ankhon barse savan
har taara hai ik chingari
raat andheri kaali nagan
har daston men un ki murat
zarra zarra jaise darpan
dil men basen ankhon men birajen
ghar hai jis ka us ka angan
jitni pag se duur hai dharti
itne man ke paas hain sajan
aas niras ke sab dhoke men
kaisi duuri kaisa darshan
kis ka shikva kijiye ‘ashraf’
apna man hai apna dushman
Leave a Reply