• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Hum To Majbur The Is dil Se

Hum To Majbur The Is dil Se

faiz-ahmad-faiz

ham to majbur the is dil se ki jis men har dam

gardish-e-khun se vo kohram bapa rahta hai

jaise rindadan-e-bala-nosh jo mil baithen baham

mai-kade men safar-e-jam bapa rahta hai

soz-e-khatir ko mila jab bhi sahara koi

dagh-e-hirman koii, dard-e-tamanna koi

marham-e-yas se mail-ba-shifa hone laga

zakhm-e-ummid koi phir se hara hone laga

ham to majbur the is dil se ki jis ki zid par

ham ne us raat ke mathe pe sahar ki tahrir

jis ke daman men andhere ke siva kuchh bhi na tha

ham ne is dasht ko thahra liya firdaus-e-nazir

jis men juz sanat-e-khun-e-sar-e-pa kuchh bhi na tha

dil ko taabir koi aur gavara hi na thi

kulfat-e-zist to manzur thi har taur magar

rahat-e-marg kisi taur gavara hi na thi

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tujhe Dil Se Utara Hi Nahin Tha

Main Bhi Kab Se Chup baiTha Hun Wo Bhi Kab Se Chup baiThi Hai

Wahan Karta Rahunga Ab Yahan Karta Rahunga

poet

Mausam-E-Gul Mein Hain diwanon Ke Bazar Kai

Kab peD Ki Manind Thaharte Hain Musafir

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet