piine men ehtiyat ziyada nahin rahi
phir mai-kade men baat ziyada nahin rahi
arz-o-sama bhi haath se mere nikal ga.e
muTThi men ka.enat ziyada nahin rahi
phir ye hua ki vaqt kahin ja ke kho gaya
din jab ghaTa to raat ziyada nahin rahi
main zindagi men barha talvar par chala
mushkil pa.e sirat ziyada nahin rahi
phir ye hua ki vaqt ne manzar chhupa liye
id-e-tasavvurat ziyada nahin rahi
ki zindagi ki ham ne mudarat umr-bhar
us par bhi ek raat ziyada nahin rahi
mahsus ho raha hai tire hal-e-zar se
‘aḳhtar’ tiri hayat ziyada nahin rahi
Leave a Reply