• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Milne Ko Tujhse dil To Mera Be-Qarar Hai

Milne Ko Tujhse dil To Mera Be-Qarar Hai

asif-ud-daula

milne ko tujh se dil to mira be-qarar hai

tu aa ke mil na mil ye tira ikhtiyar hai

jis jis ke paas dosto jis jis ka yaar hai

behtar chaman se ghar men isi ke bahar hai

tum zakhm-e-dil ki mere khabar puchhte ho kya

tir-e-nigah dil ke to ab var-par hai

gar dushmani pe dost ne bandhi mire kamar

dushman hai ab jo koi mira dost-dar hai

lagti nahin palak se miri ab zara palak

aane ka is ke jab se mujhe intizar hai

ai shahsavar us ko bhi kar le tu ab shikar

ye said-e-dil bhi umr se umid-var hai

ye kuchh to haal tere divane ka ab hua

jidhar ko jaave aah use maar maar hai

ai gul tujhe aziiz huun rakhta main is liye

yaani ki tujh men ek ramaq bu-e-yar hai

ye kis ke dil ko chhin ke karte hain paemal

in zalimon ka aah yahi karobar hai

‘asif’ khuda ke vaste mat de buton ko dil

ye vo hain jin ke qaul ka kya e’tibar hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

bashir-badr

Ghar Se Nikle Agar Hum Bahak Jaenge

mirza-ghalib

Arz-E-Niyaz-E-Ishq Ke Qabil Nahin Raha

Ye Dastan-E-Dil Hai Kya Ho Ada Zaban Se

poet

Ahbab Ke Qarib Mohabbat Se baiThiye

farah-iqbal

Koi Jab Mil Ke Muskuraya Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet