kashti ko kinare pe Dubona nahin aata
jo jiit chuke hain use khona nahin aata
ye kaun si manzil hai ḳhuda jaane junun ki
ab koi bhi dukh ho hamen rona nahin aata
kandhon pe hamare hi raha ishq salamat
ye bojh kisi aur ko Dhona nahin aata
tab zehn men aati hai koi us ke baghavat
jab haath men bachche ke khilauna nahin aata
vo shaḳhs kahan jaa.e miri jaan ki jis ko
juz tere kisi aur ka hona nahin aata
Leave a Reply