āshnā dil ko jalāne aa.e
tere qissa hī sunāne aa.e
dil hī dil meñ hai pashemāñ dono
kaun ab kis ko manāne aa.e
kuchh to milne kī ho sūrat paidā
tark-e-ta.alluq ke bahāne aa.e
ik tamannā hai ki ab maiñ rūThūñ
aur vo mujh ko manāne aa.e
merī nīñdoñ meñ vo shāmil ho kar
mujh ko mujh se hī churāne aa.e
phir fazā us ke badan sī mahkī
phir bahāroñ ke zamāne aa.e