miri ujḌi javani ka hai bas itna nishan baaqi
nasheman jal gaya lekin abhi tak hai dhuan baaqi
ḳhuda jaane saza ham ko mili hai kin gunahon ki
ki apne mulk men hi ab nahin apni zaban baaqi
makin jitne bhi hain sab mehman do-char din ke hain
rahega is zamane men faqat vo la-makan baaqi
hayat-o-maut ki har azma.ish ḳhatm hai to kya
abhi roz-e-qayamat ka bhi hai ik imtihan baaqi
‘naresh’ ehsas ka yuun munjamid hona ma.az-allah
na fariyad-o-fughan baaqi na dil baaqi na jaan baaqi
Leave a Reply