tujh se ab aur mohabbat nahin ki ja sakti
khud ko itni bhi aziyyat nahin di ja sakti
jante hain ki yaqin tuut raha hai dil par
phir bhi ab tark ye vahshat nahin ki ja sakti
habs ka shahr hai aur us men kisi bhi surat
saans lene ki sahulat nahin di ja sakti
raushni ke liye darvaza khula rakhna hai
shab se ab koi ijazat nahin li ja sakti
ishq ne hijr ka azar to de rakkha hai
is se badh kar to riayat nahin di ja sakti
Leave a Reply