dard ki daulat-e-bedar ata ho saaqi
ham bahi-khvah sabhi ke hain bhala ho saaqi
sakht-jan hi nahin ham khud-sar-o-khuddar bhi hain
navak-e-naz khata hai to khata ho saaqi
sai-e-tadbir men muzmar hai ik ah-e-jan-soz
us ka inaam saza ho ki jaza ho saaqi
sina-e-shauq men vo zakhm ki lau de utthe
aur bhi tez zamane ki hava ho saaqi