surur-o-raqs-o-masti, main nahin huun
mukammal ghar-girhasti main nahin huun
vahi sadiyon purani, aam aurat
anokha raz-e-hasti, main nahin huun
hai dil ki aarzu sahra-navardi
shahar, qasba ya basti, main nahin huun
kahin ik khet mera muntazir hai
so dariya par barasti main nahin huun
mire in qahqahon ka raaz samjho
basa-auqat hansti main nahin huun
Leave a Reply