mujhe dariya banana chahti hai
ye duniya Duub jaana chahti hai
hamari niind ki hasrat to dekho
tumhen takiya banana chahti hai
tumhari yaad sahra ke safar men
hamare saath aana chahti hai
sitaro kaun utra hai zamin par
nazar kyuun sar jhukana chahti hai
samundar se koi itna to puchhe
nadi kyuun suukh jaana chahti hai
hamari jaan ka sadqa utaro
hamari jaan jaana chahti hai
Leave a Reply