dil hamen chak-gareban nahin hone deta
aur junun tangi-e-daman nahin hone deta
ek saaya hai jo mujh men kahin poshida hai
ek suraj hai ki taban nahin hone deta
ek jaala hai jo dana.i ne bun rakha hai
main jo chahun bhi to nadan nahin hone deta
thaam leta hai koi daman-e-imkan-e-sarab
kyon hamen sarf-e-nigaran nahin hone deta
mar hi ja.enge pasheman jo hue ishq men ham
bas yahi ḳhauf pasheman nahin hone deta
bas vahi ḳhvab ki jo diid ki hasrat men miTa
aankh ko ḳhana-e-viran nahin hone deta
koi is anjuman-ara.i se nalan hai ki jo
bas yahan jashn-e-baharan nahin hone deta
Leave a Reply