badan ke luqma-e-tar ko haram kar liya hai
ki ḳhvan-e-ruh pe jab se ta.aam kar liya hai
batao uḌti hai bazar-e-jan men ḳhaak bahut
batao kya hamen apna ghulam kar liya hai
ye astana-e-hasrat hai ham bhi jante hain
diya jala diya hai aur salam kar liya hai
makan ujaaḌ tha aur la-makan ki ḳhvahish thi
so apne aap se bahar qayam kar liya hai
bas ab tamam ho ye vahm o e’tibar ka khel
bisat ulaT di sabhi saara kaam kar liya hai
kisi se ḳhvahish-e-guftar thi magar ‘saqib’
vufur-e-shauq men ḳhud se kalam kar liya hai
Leave a Reply