lage khadang jab us nala-e-sahar ka sa
falak ka haal na ho kya mire jigar ka sa
na jaunga kabhi jannat men main na jaunga
agar na hovega naqsha tumhare ghar ka sa
kare na khana-kharabi tiri nadamat-e-jaur
ki ab-e-sharm men hai josh chashm-e-tar ka sa
ye josh yaas to dekho ki apne qatl ke vaqt
dua-e-vasl na ki vaqt tha asar ka sa
lage un ankhon se har-vaqt ai dil-e-sad-chak
tira na rutba hua kyuun shigaf-e-dar ka sa
zara ho garmi-e-sohbat to khaak kar de charkh
mira surur hai gul-khanda-e-sharar ka sa
ye na-tavan huun ki huun aur nazar nahin aata
mira bhi haal hua teri hi kamar ka sa
junun ke josh se begana-var hain ahbab
hamara haal vatan men hua safar ka sa
khabar nahin ki use kya hua par is dar par
nishan-e-pa nazar aata hai nama-bar ka sa
dil aise shokh ko ‘momin’ ne de diya ki vo hai
muhib husain ka aur dil rakhe shimar ka sa
Leave a Reply