kar-e-din us but ke hathon haae abtar ho gaya
jis musalman ne use dekha vo kafar ho gaya
dilbaron ke naqsh-e-pa men hai sadaf ka sa asar
jo mira aansu gira us men so gauhar ho gaya
kya badan hoga ki jis ke kholte jaame ka band
barg-e-gul ki tarah har nakhun moattar ho gaya
aankh se nikle pa aansu ka khuda hafiz ‘yaqin’
ghar se jo bahar gaya ladka so abtar ho gaya
Leave a Reply