aankh thi suuji hui aur raat bhar soya na tha
is tarah vo tuut kar shayad kabhi roya na tha
un ke shauq-e-did men tha is qadar khoya hua
main bhari mahfil men tha aisa ki main goya na tha
imtihan zauq-e-safar ka tha to suraj sar pe tha
dhuup thi divar thi lekin kahin saaya na tha
vo bada tha phir bhi vo is qadar be-faiz tha
us ghanere ped men jaise koi saaya na tha
shahrah par khuun men ik laash thi luthdi hui
aae din ka hadsa tha is liye charcha na tha
har nigah pyasi thi lekin vaqt ki tahvil men
ik sarab-asa zamin thi duur tak dariya na tha
Leave a Reply