• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ifa-E-Wada Aap Se Ai Yar Ho Chuka

Ifa-E-Wada Aap Se Ai Yar Ho Chuka

poet

ifa-e-vaada aap se ai yaar ho chuka

us ka to imtihan kai baar ho chuka

ahbab haath uthaen hamare ilaaj se

sehat-pazir ishq ka bimar ho chuka

vo be-hisab bakhsh de ye baat aur hai

apne hisab men to gunahgar ho chuka

main haath jodta huun badi der se huzur

lag jaiye gale se ab inkar ho chuka

bechun kahan main apne dil-e-dagh-dar ko

sauda bura pasand kharidar ho chuka

piiri men parvarish hai abas jism-e-zar ki

phenkun kisi ghadi main ye bekar ho chuka

barham vo shokh kyuun na ho kyuun zulf ko chhua

ye haath hathkadi ke saza-var ho chuka

ab mujh se iltiyam ki baten na kijiye

dil tum se phat gaya jigar afgar ho chuka

mujh dil-figar ko na rahi tum se kuchh umiid

ye khatt-e-sabz marham-e-zangar ho chuka

darban ko salam karen ghar ki raah len

vo munh chhupa ke baithe hain didar ho chuka

bande ke haal par nazar-parvarish rahe

husn-e-malih ka main namak-khvar ho chuka

luun bosa khun-baha main us abru-kaman se

ab to jigar se tir-e-nigah paar ho chuka

ai ‘bahr’ ab to baat bhi karta nahin vo shokh

vo rasm-o-rah ho chuki vo pyaar ho chuka

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jo Ba-Kirdar Ho Usko Siyani Kaun Kahta Hai

poet

Kisi Ke Wada-E-Farda Mein Gum Hai Intizar Ab Bhi

ismail-merathi

duniya Ke Liye Hain Sab Hamare dhande

poet

Jahan Jahan Hai Sahar Ka Aalam Wahin Wahin Raushni Nahin Hai

Wo Aadmi Nahin Hai Mukammal Bayan Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet