zindagi ko na-muradi se koi shikva nahin
ab agar patthar se Takra.un to sar phahTta nahin
pi rahi hai qatra qatra mere ḳhvabon ka lahu
main huun duniya ke liye mere liye duniya nahin
miT chuke hain dil se yuun halat ke dhundle nuqush
jis tarah guzra hua lamha kabhi aata nahin
bhuuk kheton men khaḌi hai jeb men mahnga.i-band
shahr aur bazar men galla kahin milta nahin
apne pahlu men sameTe ho gham-e-hasti ka nuur
aisa koi falsafa insan ko milta nahin
koi paigham-e-tamanna koi paigham-e-amal
sirf kah dene se to duniya men kuchh hota nahin
koi ro.e ya hanse ‘parvaz’ mujh ko gham nahin
main to zinda huun mira ehsas-e-dil zinda nahin
Leave a Reply