ghafil na rahna nabz ki raftar dekhna
sar par laTakti vaqt ki talvar dekhna
ḳhali hain donon haath zarurat pe hai nazar
dam toḌte hain aaj ke fankar dekhna
sab kha rahe hain bech ke gahne zamir ke
hain log kitne aaj ke nadar dekhna
daḌhi baḌhi hain baal baḌhe kapḌe gerve
hain ye jadid daur ke autar dekhna
hai samt samt chiḳh tiri chiil ki tarah
har ja shahad bhari miri guftar dekhna
taḳhliq ki hatheli pe uslub ki chita
‘shaghil’ ‘adib’ fan ka ye me.aar dekhna
Leave a Reply