ḳhaak thi ḳhak-dan men kya tha
ham se pahle jahan men kya tha
jaan hatheli pe thi patangon ki
jaane is sham.a-dan men kya tha
ab to aaseb hai mire ghar men
qabl is ke makan men kya tha
khinchta tha vo naqsh-e-pa ham ko
naqsh kya tha nishan men kya tha
devta kah rahe the log jise
vo hamari zaban men kya tha
umr bhar mil sake na ham donon
vasvasa darmiyan men kya tha
kaisa nikla hai ai ‘fida’ tu bhi
aur hamare guman men kya tha
Leave a Reply