shikast-e-shisha-e-dil ki sada huun
main ḳhud bhi ḳhud ko sunna chahta huun
nahin mere liye kya aur koi
usi ka rasta kyuun dekhta huun
usi sahil pe Dubunga jahan se
samundar ka tamasha kar raha huun
charagh-e-shola-e-sar huun aur hava men
sar-e-divar-e-jan rakkha hua huun
guzarna hai jise sahra se ho kar
main us dariya ke dukh se ashna huun
visal-e-yar ki ḳhvahish men aksar
charagh-e-sham se pahle jala huun
ghunuda sa.aton ki shab se ’tishna’
tavaf-e-ariz-o-lab kar raha huun
Leave a Reply