samne us but ke jab jaana pada
kufr par iman mujhe laana pada
bahar-e-darman un ko jab aana pada
dard-e-dil ko aur badh jaana pada
phir bhi kab samjha fareb-e-husn ko
dil ko lakhon baar samjhana pada
jiite ji didar-e-janan tha muhal
zindagi men mujh ko mar jaana pada
ku-e-janan kucha-e-janan tha phir
jannat-e-vaiz ko thukrana pada
ho chuka nazrana jab dil husn ka
phir jigar ko samne laana pada
zindagi men jab na ‘afqar’ aae vo
zindagi ko maut ban jaana pada