chalo tum bhi muqaddar aazma lo
hamare naam ka sikka uchhalo
main apne aap men dhansne lagi huun
mujhe meri hi daldal se nikalo
guhar kam hain ḳhazaf-reze ziyada
abhi kuchh aur dariya ko khangalo
chalo karte hain tajdid-e-ta.alluq
purani ranjishon par ḳhaak Daalo
mira maazi mire dar par khaḌa hai
mujhe tum apne daman men chhupa lo
bahut mushkil ghaḌi aa.i hui hai
ghaḌi ki suui ko aa kar sambhalo
tumhare saath jiina chahti huun
mujhe be-maut marne se bacha lo
bujha sakte nahin ho aag jab tum
kam-az-kam aag men ghi to na Daalo
ta.assub ka dhuan dam ghoTta hai
kahan mar-khap ga.e raushan ḳhayalo
tavajjoh chahiye tum ko jo ‘raḳhshan’
kabhi tum bhi kisi ko ghaas Daalo
Leave a Reply