din kisi surat guzarta hi nahin
ret par chehra ubharta hi nahin
ji rahe hain nafraton ke darmiyan
chehra-e-imkan nikharta hi nahin
ta-abad jaari rahe raqs-e-junun
ghar ka sannaTa bikharta hi nahin
dekhna qaht-e-jamal-e-zindagi
shahr men koi sanvarta hi nahin
jaane kya us ki nazar ne kar diya
dil kisi pahlu Thaharta hi nahin
nashsha-e-hasti ke din puure hue
‘saghar’-e-jan hai ki bharta hi nahin
Leave a Reply