fida-e-dilbar-e-rangin-ada huun
shahid-e-shahid-e-gul-gun-qaba huun
har ik mah-ru ke milne ka nahin zauq
sukhan ke ashna ka ashna huun
kiya huun tark nargis ka tamasha
talab-gar-e-nigah-e-ba-haya huun
na kar shamshad ki tarif mujh paas
ki main us sarv-qad ka mubtala huun
kiya main arz us khurshid-ru suun
tu shah-e-husn main tera gada huun
sada rakhta huun shauq us ke sukhan ka
hamesha tishna-e-ab-e-baqa huun
qadam par us ke rakhta huun sada sar
‘vali’ ham-mashrab-e-rang-e-hina huun
Leave a Reply