• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / dil Mein Kya Usko Mila Jaan Se Hum dekhte Hain

dil Mein Kya Usko Mila Jaan Se Hum dekhte Hain

poet

dil men kya us ko mila jaan se ham dekhte hain

balki jaan hai vahi jab dhyan se ham dekhte hain

chupke baithe hue hairan se ham dekhte hain

tum to dekho tumhen kis shaan se ham dekhte hain

dil nikal jaata hai be-sakhta us dam apna

dar men jis dam tujhe dalan se ham dekhte hain

kahte hain ek tumhin to nahin ham par marte

saikdon jaate hue jaan se ham dekhte hain

vaan se mayus chale to hain na puchho phir kuchh

pichhe phir phir ke kis arman se ham dekhte hain

kya gila aap ka jo ham ko dikhae qismat

aaj kuchh aur hi saman se ham dekhte hain

kuchh ruka sa jo unhen dekhte hain mahfil men

munh ko ek ek ke hairan se ham dekhte hain

allah allah re ai but tiri afzaish-e-husn

tujh ko har lahza nai aan se ham dekhte hain

haae qismat ki adu kahne ko apna matlab

munh lagate hain tire kaan se, ham dekhte hain

kabhi jaane ka irada jo vo karte hain ‘nizam’

haae us vaqt kis arman se ham dekhte hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Bedam Shah Warsi

Kuchh Lagi dil Ki Bujha Lun To Chale Jaiyega

Apna Nafas Nafas Hai Ki Shoala Kahen Jise

Tere Ghurur Mere Zabt Ka Sawal Raha

Uski KHwahish Pe Nae Sher Barabar Kahna

Na Jaane Kis Ne Kaha Tha bhaTakte Aahu Se

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet