• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / To Sharafaton Ka Maqam Hai to Sadaqaton Ka Dawam Hai

To Sharafaton Ka Maqam Hai to Sadaqaton Ka Dawam Hai

to sharafaton ka maqam hai to sadaqaton ka davam hai

jahan farq-e-shah-o-gada nahin tire diin ka vo nizam hai

jinhen tire naam ki chaah hai ye zamin un ki gavah hai

vahin karbala ka vo dasht hai vahin qasr-e-kufa-o-sham hai

kahin kankaron ko zaban de kahin sach ko harf-e-bayan de

dar-e-had had-e-in.am hai sar-e-qad qad-e-ilham hai

tira ruup ruuh ke ru-ba-ru tiri priit paran men mu-ba-mu

tu kamal-e-husn-e-kalam hai tu misal mah-e-tamam hai

tu ne ḳhauf-e-marg miTa diya tu ne haq ko jiina sikha diya

tu hasan husain ka peshva tu ali-e-vali ka imaam hai

tira buad buad-e-hayat hai tera qurb qurb-e-najat hai

tu ruton ka rang-e-ravan-davan to sumon ka sang-e-mudam hai

tale tegh ke vo ibadaten tiri shaan ki vo shahadaten

vo hikayaten vo rivayaten tire saare ghar pe salam hai

to shu.ur-e-zist ka tarjuman kabhi juzv-e-jan kabhi la-makan

yahan arsh-e-farq pe javedan tira nuur hai tira naam hai

sabhi harf tere harim hain sabhi aks tere aziim hain

sabhi saj-suḳhan tire vaste sabhi baat tujh pe tamam hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

afzal-naved

Makan-e-Khwab Mein Jangal Ki Bas Rahne Lagi

Hawa Chali to Pasina Ragon Mein baiTh Gaya

Waqt Guzra Hai Tere Hijr Mein Aise Jaanan

Main Dar Pe Tere Dar-Ba-Dari Se Nikal Aaya

poet

Bahri Pacchane Nin Use Gul Ke so Wo Dam-Saz The

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet