sham-e-alam bhi guzri pahlu badal badal kar
rota raha hai ye dil pahron machal machal kar
manzil ki justuju men pahunche kahan kahan ham
dekha kiye tamasha raste badal badal kar
shahr-e-vafa men ham ne sab kuchh luta diya hai
ye baat un se kahna logo sambhal sambhal kar
kya zid karenge tujh se ai gardish-e-zamana
hansna bhi aa gaya hai gham se bahal bahal kar
‘gulnar’ zabt-e-gham ki ye intiha bhi dekhi
daman bhigo rahe hain aansu nikal nikal kar
Leave a Reply