kho diye hain chand kitne ik sitara maang kar
mutma.in hain kis qadar phir bhi ḳhasara maang kar
mauj ke hamrah tha to saara dariya saath tha
ho gaya gharqab lahron se kinara maang kar
raakh men ab DhunDhta huun main dar-o-divar ko
ghar diya hai aag ko main ne sharara maang kar
teri marzi ho to bhar kashkol-e-dil ḳhali mira
main nahin lunga tujhe tujh se dobara maang kar
apne paanv par chalunga main apahij to nahin
raste kaTte nahin hain yuun sahara maang kar
ḳhvab ki miTTi ko gundhunga lahu se main ‘figar’
ghar banana hi nahin dharti se gaara maang kar
Leave a Reply