• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ijad Gham Hua Dil-E-Muztar Ke Waste

Ijad Gham Hua Dil-E-Muztar Ke Waste

poet

ijad gham hua dil-e-muztar ke vaste

paida junun hua hai mire sar ke vaste

karte ho fikr ghafilo kya ghar ke vaste

duniya men sab muqim hain dam bhar ke vaste

har shai men jo ki dekhte hain jalva dost ka

vo log sajda karte hain patthar ke vaste

us but ne ek baat na maani shab-e-visal

lakhon diye ḳhuda o payambar ke vaste

sun kar payam-e-vasl main qasid se ji uTha

hai mo.ajaza zarur payambar ke vaste

mizhgan ko teri ham ne jagah apne dil men di

zeba ye myaan hai isi ḳhanjar ke vaste

likhta huun us pari ki sifat chashm-e-shoḳh ki

tar-e-nigah-e-hur ho mistar ke vaste

balish ki ja hai mujh ko tira sang-e-astan

kaafi hai ḳhak-e-dar mare bistar ke vaste

jaata huun chiin kakul-e-ambar-fishan ko main

sauda ḳharidta hai mujhe sar ke vaste

jitne the zulm sab vo jafa-kar kar chuka

baaqi rahe na charḳh-e-sitamgar ke vaste

karta huun roz-e-hijr main tadbiren dosto

kya kya tasalli-e-dil-e-muztar ke vaste

saaqi sharab-e-ashk hai yaan jam-e-chashm men

ehsan uTha.en kyuun mai o saghar ke vaste

ai ‘sehr’ qadr-dan jo na ho koi sher ka

to zindagi hai maut suḳhnavar ke vaste

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ahmad-javed

Saba dekh Ek din Idhar Aan Kar Ke

poet

Khinch Ke Wo Aur Tarahdar Nazar Aate Hain

Lams Ko chhoD Ke KHushbu Pe Qanaat Nahin Karne Wala

gulzar

Sabaat

poet

Kahan Wo Sim-Tanan Hain Kahan Wo Gul-Badnan

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet