sab ko bata raha huun yahi saaf saaf main
jalte diye se kaise karun inhiraf men
main ne to asman ke rangon ki baat ki
kahne lagi zamin badal duun ghilaf men
gumrah kab kiya hai kisi raah ne mujhe
chalne laga huun aap hi apne khilaf men
milta nahin hai phir bhi sira asman ka
kar kar ke thak chuka huun zamin ka tavaf men
ab tu bhi aaine ki tarah bolne laga
patthar se bhar na duun tire munh ka shigaf men
Leave a Reply