manzil ke us usuul ko rusva nahin kiya
raste se lauTne ka irada nahin kiya
dil ko gudaz bhi rakha to ehtiyat se
kar to liya yaqin par itna nahin kiya
ham ko bhi phir umiid kuchh aisi nahin rahi
achchha hua jo tu ne bhi va.ada nahin kiya
faqa-kashi men yuun to ka.i rahm-dil mile
kaae hi ham ne apna kushada nahin kiya
ye bhi to kam nahin hai ki ham ne koi gunah
ik baar ho gaya to dobara nahin kiya
sahra-navard ka hamen raas aa gaya laqab
jab us ne apne naam ko dariya nahin kiya
bachchon muaaf karna ki tum khaao baiTh kar
main ne tumhare vaste itna nahin kiya
tu hi bata main kaise karun mutma.in tujhe
aisa nahin kiya kabhi vaisa nahin kiya
‘nayab’ tere sar ki qasam is jahan ne
karne ko ham se jo bhi kaha tha nahin kiya
Leave a Reply