kabhī mushkil meñ jo paḌ jaa.e zarūrat mohsin
mujhe mil pā.egī kyā terī himāyat mohsin
saath detā he shab-e-ġham meñ kahāñ saaya bhī
kyā nibhā.egī vafā terī mohabbat mohsin
va.ada kar lenā hai āsān nibhānā mushkil
saḳht hotī hai bahut rāh-e-muravvat mohsin
rāsta saaf ho saaya ho havā ThanDī ho
ham safar aise meñ karte haiñ ināyat mohsin
zer-e-pā aag ho kāñTe hoñ na saaya na havā
aise aalam meñ to mushkil hai rifāqat mohsin
vaqt ke saath khulā kartā hai yādoñ kā bharam
kahāñ ḳhush-fahm hai ‘asrā’ kī tabī.at mohsin