aghaz-e-mohabbat ka to anjam nahin hai
ye sub.h vo hai jis ki kabhi shaam nahin hai
kya dekhta hai apne siva dekhne vaale
aina-e-dil jalva-gah-e-am nahin hai
allah ri taqdir ki nakami-e-paiham
yuun baitha huun ab jaise koi kaam nahin hai
be-vaj.h kiya qaid asiron ko qafas men
sayyad ke sar phir bhi to ilzam nahin hai
marne nahin deti hai rihai ki tamanna
duniya men mujhe varna koi kaam nahin hai
ab khaak ho aiman ke bayaban men tajalli
‘afqar’ koi be-parda sar-e-bam nahin hai
Leave a Reply