• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hangam-E-Hawas-Kar Mohabbat Ke Liye Hai

Hangam-E-Hawas-Kar Mohabbat Ke Liye Hai

poet

hangam-e-havas-kar mohabbat ke liye hai

hai jo bhi kashakash vo nadamat ke liye hai

jiina to alag baat hai marna bhi yahan par

har shaḳhs ki apni hi zarurat ke liye hai

milne tujhe aaya huun na milne ke liye hi

aamad ye miri asl men ruḳhsat ke liye hai

aḳhir ko yahi kar-gari-e-barf pighal kar

maujon ke tavassul se hararat ke liye hai

main haath na aane ka huun tere ai zamane

ya.ani mira hona tiri hasrat ke liye hai

main niind ka dar khole hue huun tiri ḳhatir

har ḳhvab mira teri sahulat ke liye hai

vo hai ki nazar aata nahin aur kisi ko

vo hai ki faqat meri basarat ke liye hai

qudarat hi ko manzur hai kuchh aur vagarna

har lamha-e-a.inda qayamat ke liye hai

imkan ne jo shahr basaya hai vahan par

har chashm-e-tamasha na.i hairat ke liye hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

shad-azimabadi

Na Jaan Bazon Ka Majma Tha Na Mushtaqon Ka Mela Tha

poet

Kaha Jab Tum Se Chaara Dard-E-Dil Ka Ho Nahin Sakta

Hamein to Harf-E-Tamanna Zaban Pe Lana Hai

zehra-nigaah

Ek Phul Sa Bachcha

poet

Na Aaya Kar Ke Wada Wasl Ka Iqrar Tha Kya Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet