pagal ziddi aur divana kaun kahe
tere bin mera afsana kaun kahe
yuun kitne hi mujh ko apna kahte hain
par mujh ko jana-pahchana kaun kahe
ankhon ankhon jis ki surat rahti hain
us ko lafzon men batlana kaun kahe
yaad men jis ki ankhen jharne ho baiThin
us badal ka ghar aa jaana kaun kahe
ankhen mundun khul khul jaa.en phir sapna
us ziddi ka haq jatlana kaun kahe
‘tapish’ tumhen maqte men laana mushkil hai
barish men jazbe sulgana kaun kahe
Leave a Reply