patthar ho ki faulad ho Darne ka nahin main
ab surat-e-a.ina bikharne ka nahin main
jo zaat ka meri hai ḳhala chiiz digar hai
jo bhar bhi ga.e zaḳhm to bharne ka nahin main
dekhen na nazar bhar ke mujhe der talak aap
jo chaḌh gaya nazron men utarne ka nahin main
ki bada-kashi tark-e-ma.abid ke muqabil
ab is se ziyada to sudharne ka nahin main
didar tira mere liye rahat-e-jan hai
be-dekhe tujhe jaan se guzarne ka nahin main
ab jurm-e-mohabbat ki mile koi bhi padash
taftish ke dauran mukarne ka nahin main
Leave a Reply