ek rauzan ke abhi kirdar men huun main
ghaur se dekho isi divar men huun main
sab manazir zard se paḌne lage hain ya
be-yaqini ke isi azar men huun main
TuuT jaa.e asman dharti bhi phaT jaa.e
kya mujhe parva ki bazm-e-yar men huun main
zehn men aulad hai aur ghar ki janib huun
ruk nahin sakta abhi raftar men huun main
ghar ki har shai kyuun mujhe be-nur lagti hai
kya ziyada aaj kal bazar men huun main
shohraton ka aḳhiri chara jara.em the
dekhiye ab kis qadar aḳhbar men huun main
guftugu se kab mujhe parhez hai ‘saurabh’
bolta sunta magar ash.ar men huun main
Leave a Reply