jaate vaqt tujhe to ham hañstā dekheñge
phir ā.īne meñ ḳhud kā ronā dekheñge
ek dafa ham ne tum ko jī bhar dekhā thā
ham ba.ad tumhāre ab kyā duniyā dekheñge
aap ne merī āñkhoñ meñ dariyā dekhā hai
thoḌā ruk jaa.eñ to phir sahrā dekheñge
un āñkhoñ meñ aur kisī kā chehra dekhā
ham is se ziyāda kyā aur burā dekheñge
kaun nibhātā hai tā-umr kisī se rishta
phir tujh ko bhī ham hairat se kyā dekheñge