apne har har lafz ka khud aina ho jaunga
us ko chhota kah ke main kaise bada ho jaunga
tum girane men lage the tum ne socha hi nahin
main gira to masala ban kar khada ho jaunga
mujh ko chalne do akela hai abhi mera safar
rasta roka gaya to qafila ho jaunga
saari duniya ki nazar men hai mira ahd-e-vafa
ik tire kahne se kya main bevafa ho jaunga
Leave a Reply