kyuun bahar aate hi pahlu men bujha aap hi aap
ya-ilahi mire dil ko hua kya aap hi aap
ḳhat men likkha hua aa.ega juda.i ka payam
ḳhvab men ḳhat ke hue harf juda aap hi aap
nabzen Duubi hui bimar ki paa.en shayad
haath mil kar koi balin se uTha aap hi aap
na talab thi mire dil ki na ishara un ka
jaam lene ko mira haath baḌha aap hi aap
ishq-e-sadiq ka kahin zikr hua tha shayad
us ne mahfil men mira naam liya aap hi aap
sham-e-mahfil tumhen kahta tha zamana dekha
hua parvana uḌ ke fida aap hi aap
jazb-e-dil ka ye asar bazm-e-adu men bhi hua
kasmasate hue kuchh us ne kaha aap hi aap
shoḳhi-e-husn jigar-soz ka iima ye na tha
bigḌi hai sham.a ki mahfil men hava aap hi aap
tum ne dushman se kahin aankh laḌa.i hogi
kyuun hua tir-e-nazar aaj ḳhata aap hi aap
‘shad’ ne aaj ye maqtal men tamasha dekha
dast-e-qatil se lagi uḌne hina aap hi aap
Leave a Reply