yuun to na tere jism men hain zinhar haath
dene ke ai karim magar hain hazar haath
angḌa.iyon men phailte hain baar baar haath
shisha ki samt baḌhte hain be-iḳhtiyar haath
Duube hain tark-e-sa.i se afsos to ye hai
sahil tha haath bhar pe lagate jo chaar haath
aati hai jab nasim to kahti hai mauj-e-bahr
yuun aabru sameT agar hon hazar haath
darpai hain mere qatl ke ahbab aur main
ḳhush huun ki mere ḳhuun men rangte hain yaar haath
daman-kashan chali hai badan se nikal ke ruuh
khinchte hain phailte hain jo yuun baar baar haath
miTta nahin navishta-e-qismat kisi tarah
patthar se sar ko phoḌ ki zaanu pe maar haath
saaqi sambhalna ki hai labrez jam-e-mai
laghzish hai mere paanv men aur ra.asha-dar haath
mutrib se puchh mas.ala-e-jabr-o-iḳhtiyar
kya taal sam pe uThte hain be-iḳhtiyar haath
main aur huun ala.eq-e-duniya ke daam men
mera na ek haath na us ke hazar haath
ai ‘nazm’ vasl men bhi raha tu na chain se
dil ko hua qarar to hai be-qarar haath
Leave a Reply