hui ham se ye nadani tiri mahfil men aa baithe
zamin ki khaak ho kar asman se dil laga baithe
hua khun-e-tamanna us ka shikva kya karen tum se
na kuchh socha na kuchh samjha jigar par tiir kha baithe
khabar ki thi gulistan-e-mohabbat men bhi khatre hain
jahan girti hai bijli ham usi daali pe ja baithe
na kyuun anjam-e-ulfat dekh kar aansu nikal aaen
jahan ko lutne vaale khud apna ghar luta baithe
Leave a Reply