ham ne maiḳhane ki taqdis bacha li hoti
koi botal to yahan ḳhuun se ḳhali hoti
is ki buniyad agar zohd ne Daali hoti
diin ki tarah ye duniya bhi ḳhayali hoti
anjuman dagh-e-jigar ki mutahammil na hui
kaash ham ne bhi koi sham.a jala li hoti
sach to ye hai kaha gar jurm na sabit hota
ham ne ḳhud maang ke jiine ki saza li hoti
aaj is moḌ pe ham hain ki agar bas chalta
lauT jaane ki koi raah nikali hoti
tum ne qanun men tarmim ki zahmat kyuun ki
ham ne ḳhud qaid ki mi.ad baḌha li hoti
vus.at-e-shauq ne rakkha na kahin ka ham ko
varna har dil men jagah apni bana li hoti
Leave a Reply