kaifiyat iztirab ki si hai
tere ḳhat ke javab ki si hai
sub.h paḌhta huun shaam paḌhta huun
tu mukammal kitab ki si hai
sura-e-shams hai nazar teri
sho.alagi aftab ki si hai
teri maujudgi surur-agin
teri furqat azaab ki si hai
meri ankhen hain titliyon ki tarah
teri surat gulab ki si hai
kya karoge ‘asad’ ise le kar
jab ye duniya habab ki si hai
Leave a Reply