phuTe man se bol, laga ye zinda huun main
ab mujh ko ehsas hua ye zinda huun main
yaaro mere naam pe rona band karo tum
duur haTao ab majma.a ye zinda huun main
ankhen mal mal kar dekha qatil ne mujh ko
sach nikla us ka ḳhadsha ye zinda huun main
main tasdiq karunga tere garm lahhu ki
tu bhi mujh ko yaad dila ye zinda huun main
mujh par meri zaat udhar hai lekin ‘saurabh’
chukta kar dunga qarza ye, zinda huun main
Leave a Reply