Qadam Qadam Aasman Bhi Misl-E-Zamin Hai Mujhko

qadam qadam āsmāñ bhī misl-e-zamīñ hai mujh ko

ye kā.enāt-e-nigāh bait-e-yaqīñ hai mujh ko

libās ban kar jo roz-o-shab ke badan pe jaagā

vo zindagī kā vajūd hī dil-nashīñ hai mujh ko

nigāh phere jo ḳhud-numā.ī mere yaqīñ se

to phir batā.ūñ hayāt kitnī hasīñ hai mujh ko

mujhe ḳhabar hai ki merī qismat meñ tū likhā hai

koī gumān-e-ġhalat bhī ḳhud par nahīñ hai mujh ko

na jaane kyoñ har nazar se us ko bachānā chāhūñ

vo aarzū jo har ek shai se hasīñ hai mujh ko

jahāñ laboñ kā vajūd hai buuñd buuñd tishna

vo shahr-e-fikr-o-nazar dayār-e-hazīñ hai mujh ko

bajā ki mere badan pe harf-e-anā likhā hai

tirī zarūrat bhī zindagī meñ kahīñ hai mujh ko

harīf ‘parvāz’ jis jagah hai mirā sarāpā

sukūn-e-dil iztirāb-e-paiham vahīñ hai mujh ko

Leave a Comment